Wednesday, April 7, 2010

Aaj phir unki shadat main sir jhukane ki bari hai.
Tufan se ujad chuke sansar ko phir bsane ki tyaari hai.
Kya itni choti ho gyi jindagi ab,
chand lamho main simat jati hai.
Khusiya ek pal main sisqiyo main badal jati hai.
Kuch kerlo o desh ke karhdharo,
maut ke saudagro se jindagi ko bacha lo,
bacha lo un khusiyo ko jo ek pal main ujjad jati hai,
laloo ke lahu se phir maa ki god laal ho jati hai.
Aaj phir sheedo ke liye naman ki bari hai,
unki shadat main phir sir jhukane ki bari hai.
phir jalenge diye unke liye,jinhone desh ko ujala diya,
phir chadenge phool un per,jinke balidan ne bharat ko mhka diya,
aao badhaker hath unki kurbani ko sarahe hum,
unki seva aur bhakti ko phir na jaya bnaye hum,
apni mati ke liye kuch ker jane ki ab hamari bari hai,
aaj phir unki shadat main sir jhukane ki bari hai....
Phir sir jhukane ki bari hai....

1 comment: