Thursday, April 29, 2010

Vo Khidki........

Khidki khuli thi vo,
Hva ka jhoka jo aa gya,
Jane kyu phir se ek bar,
Yadoo ka vo perda lhera gya,
Khidki Khuli thi. . . . . . . . . . . .
Uske ander gumsum sa ujala,
Bichde andhere ki yaad dilata hai,
Nisha ki roshen chandni main,
Mujh makhsuud ko rulata hai,
Jhakne ka eav,jhakne ka eav,
Phir mujhe kyu yaad aa gya,
Bin khe kuch bhi lavo se,
Seb kuch jatane ka anddaz aa gya,
yadoo ka vo perda phir lehra gya,
Khidki khuli thi. . . . . . . . . . . . .
Us ek pal main lga,jaise
Sath main unke sadiya gujri,
Ban gyi ho khidki ,jaise
Sunder sapno ki nagri,
Perde ke us or,anjaan chehre main,
Kyu apna sa ehsaas aa gya,
Uthti jhukti,jhuk ker uthti ,najro main
kyu ek duje ke liye ajab sa pyar aa gya,
Yadoo ka vo perda phir lehra gya,
Khidki khuli thi. . . . . . . . . . . . . .
Ek pal main milne ki umeede,
Chupke se auojhel hui,
Meri choti si sapno ki nagri,
beeta afsana ho gyi,
Is se phle natvani main,
Samajh pata us hasi khwav ko,
na jane mujh anjaan se,
Phir kya galti ho gyi,
Main phir se apne,be-sda
Dariche pe aa gya,
EK parwana phir se,
Shama k injaar main murjha gya,
Yadoo ka vo perda phir lehra gya,
Khidki khuli thi vo,
Hva ka jhoka jo aa gya,
Jane kyu phir ek bar,
Yadoo ka vo perda lehra gya. . . . . . .

With lots of love........
by "Labbu Anuj Gaud (LOVE)"

No comments:

Post a Comment