Thursday, April 29, 2010

Vo Khidki........

Khidki khuli thi vo,
Hva ka jhoka jo aa gya,
Jane kyu phir se ek bar,
Yadoo ka vo perda lhera gya,
Khidki Khuli thi. . . . . . . . . . . .
Uske ander gumsum sa ujala,
Bichde andhere ki yaad dilata hai,
Nisha ki roshen chandni main,
Mujh makhsuud ko rulata hai,
Jhakne ka eav,jhakne ka eav,
Phir mujhe kyu yaad aa gya,
Bin khe kuch bhi lavo se,
Seb kuch jatane ka anddaz aa gya,
yadoo ka vo perda phir lehra gya,
Khidki khuli thi. . . . . . . . . . . . .
Us ek pal main lga,jaise
Sath main unke sadiya gujri,
Ban gyi ho khidki ,jaise
Sunder sapno ki nagri,
Perde ke us or,anjaan chehre main,
Kyu apna sa ehsaas aa gya,
Uthti jhukti,jhuk ker uthti ,najro main
kyu ek duje ke liye ajab sa pyar aa gya,
Yadoo ka vo perda phir lehra gya,
Khidki khuli thi. . . . . . . . . . . . . .
Ek pal main milne ki umeede,
Chupke se auojhel hui,
Meri choti si sapno ki nagri,
beeta afsana ho gyi,
Is se phle natvani main,
Samajh pata us hasi khwav ko,
na jane mujh anjaan se,
Phir kya galti ho gyi,
Main phir se apne,be-sda
Dariche pe aa gya,
EK parwana phir se,
Shama k injaar main murjha gya,
Yadoo ka vo perda phir lehra gya,
Khidki khuli thi vo,
Hva ka jhoka jo aa gya,
Jane kyu phir ek bar,
Yadoo ka vo perda lehra gya. . . . . . .

With lots of love........
by "Labbu Anuj Gaud (LOVE)"

Tuesday, April 13, 2010

vo tanhai main gujara her jamana yaad aata hai,
vo bin khe,sb kuch jatana ab bhi yaad aata hai,
vo to chalte the aise,jaise vo khud hi gunhegar ho,
unki jhukti palko ke sang,ufa ka aana ab bhi yaad aata hai.
vo tanhai main gujara her jamana yaad aata hai,
vo bin khe,sb kuch jatana ab bhi yaad aata hai,
vo to chalte the aise,jaise vo khud hi gunhegar ho,
unki jhukti palko ke sang,ufa ka aana ab bhi yaad aata hai.
Mere liye nhi tha vo aasma jha khul k ud skta,
smet leta jhaa ko aagosh main apne aur

Vo jamana yaad aata hai. . .

vo tanhai main gujara her jamana yaad aata hai,
vo bin khe,sb kuch jatana ab bhi yaad aata hai,
vo to chalte the aise,jaise vo khud hi gunhegar ho,
unki jhukti palko ke sang,tufa ka aana ab bhi yaad aata hai.
Mere liye nhi tha vo aasma jha khul k ud skta,
smet leta jhaa ko aagosh main apne aur jindagi se mil skta,
yu to yha shelaav hai tuut ker bikharne walo ke,
main bhi,jindagi se rutha hua,kisi ka sahara ben skta,
mujhe phir us be-sada dariche se gujarna yaad aata hai,
vo bin kahe,sb kuch jatana ab bhi yaad aata hai.
vo tanhai main gujara jamana yaad aata hai,
vo bin khe,sb kuch jatana ab bhi yaad aata hai,
vo to milte the aise,jaise vo khud hi gunhegar ho,
unki jhukti palko ke sang,tufa ka aana yaad aata hai.

Wednesday, April 7, 2010

Aaj phir unki shadat main sir jhukane ki bari hai.
Tufan se ujad chuke sansar ko phir bsane ki tyaari hai.
Kya itni choti ho gyi jindagi ab,
chand lamho main simat jati hai.
Khusiya ek pal main sisqiyo main badal jati hai.
Kuch kerlo o desh ke karhdharo,
maut ke saudagro se jindagi ko bacha lo,
bacha lo un khusiyo ko jo ek pal main ujjad jati hai,
laloo ke lahu se phir maa ki god laal ho jati hai.
Aaj phir sheedo ke liye naman ki bari hai,
unki shadat main phir sir jhukane ki bari hai.
phir jalenge diye unke liye,jinhone desh ko ujala diya,
phir chadenge phool un per,jinke balidan ne bharat ko mhka diya,
aao badhaker hath unki kurbani ko sarahe hum,
unki seva aur bhakti ko phir na jaya bnaye hum,
apni mati ke liye kuch ker jane ki ab hamari bari hai,
aaj phir unki shadat main sir jhukane ki bari hai....
Phir sir jhukane ki bari hai....